Posts

Showing posts with the label Poetry

Bewafai ki mushkilain by Amjad Islam Amjad

Image
Amjad shb comes in hesb e haal  eid special on day to and sing his one of best ghazel on the request of azizi his ghazel name is  Bewafai ki mushkilain and layrc and video with his voice is blow     jo tum ne Thhaan hi lii hai  hamaare dil se nikloge to itnaa jaan lo pyaare  vafa ki siiRhioN par har qadam phaila hua  yeh aarzuuoN ka lahu zaaya' na jaayega!  samundar saamne hoga, agar saahil se nikloge!  sitaare, jin kii aaNkhoN ne hameN ik saath dekhaa hai,  gavaahii dene aayeNge!  puraane kaaghazoN ki balkoni se bahut se lafz jhaankeNge,  tumheiN vaapas bulaayeNge!  kaii vaade, fasaadii qarz-KhwahoN ki tarah raste mein rokege  tumheiN daaman se pakrenge  tumhaari jaan khaayenge!  Chhupa kar kis tarah chehra  Bhari mehfil se nikloge?! Zara phir soch lo Jaanan,  nikal to jaayoge shaayad,  magar mushkil se nikloge!! Video

Zindagi Na Milegi Dobara - All Poetry - Farhan Akhtar

Image
Zindagi Na Milegi Dobara - All Poetry - Farhan Akhtar The three things we crave most in life -- HAPPINESS, FREEDOM and PEACE - are always attained by giving them to someone else.All Poetry with Lyrics and orginal viedos ih HD All 4 Peom these writen by Farhan father Javad Akhtar Jab jab dard ka baadal chaya Jab ghum ka saya lehraya Jab aansoo palkon tak aya Jab yeh tanha dil ghabraya Humne dil ko yeh samjhaya Dil aakhir tu kyun rota hai Duniya mein yunhi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabko hi baante hain Thoda ghum hai sabka qissa Thodi dhoop hai sabka hissa Aankh teri bekaar hi nam hai Har pal ek naya mausam hai Kyun tu aise pal khota hai Dil aakhir tu kyun rota hai... Ik baat honton tak hai jo aayi nahin Bas ankhon say hai jhaankti Tumse kabhi, mujhse kabhi Kuch lafz hain woh maangti Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh Lekin jo yeh ik baat hai Ahsas hi ahsas hai Khushboo si hai j...