Bhalay dinon ki baat hay By Ahmed Faraz - Video + Lyrics
One of most famous Urdu Nazm "Bhalay dinon ki baat hay" Written by Ahmed Faraz a Pakistani Urdu poet, in a Beautiful, Magnificent and heart throbbing voice of RJ HASNI NAVEED AFRIDI ( Mast FM 103 Karachi ) and Edited by Salman Naseem
Bhalay dinon ki baat hay
----------------------------------------------------------------------
bhalay dino ki baat hay bhali si ek shakal thi
na ye ke husn-e-taam ho na dekhne main aam si
na ye ke woh chalay tu kehkashan si rehguzar lagay
magar wo sath ho tu bhala bhala safar lagay
koi bhi rut ho us ki chab faza ka rang roop thi
woh garmiyon ki chaaon thi woh sardiyon ki dhoop thi
na mudaton juda rahay na sath subuh sham ho
na rishta e wafa pr zid na ye ke izn e aam ho
na aisi khush libasiyan ke saadgi gila karay
na itni be takulafi ke aaeena haya karay
na ikhtilat main wo rum ke bad maza hon khwahishain
na is qadar supurdagi ke zich karain nawazishain
na aashiqi junoon ki ke zindagi azaab ho
na is qadar kathor pan ke dosti kharab ho
kabhi tu bat bhi khafi kabhi sakoot bhi sukhan
kabhi ti kisht e zafraan kabhi udaasiyon ka ban
suna hay ek umer hay muaamlat e dil ki bhi
wisaal e janfiza tu kia firaaq e jan gusal ki bhi
so ek roz kia hoa wafa pe behes chir gai
main eshq ko amar kahon woh meri zid se chir gai
main eshq ka aseer thawo eshq ko qafas kahay
ke umer bhar ke saath kowo bad tar az hawas kahay
shajar hajar nahin ke ham hamaish pa ba gil rahain
na dhor hain ke rasiyan galay main mustaqil rahain
muhabbaton ki wusaatain hamary dast o pa main hain
bas ek dar se nisbatain sagaan e bawafa ko hain
main koi painting nahin ke ek frame main rahon
wahi jo man ka meet housi ke prem main rahon
tumhari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin
mujhy wafa se bair hayye baat aaj ki nahin
na us ko mujh pe maan tha na mujh ko us per zaum hi
jb ehed hi koi na ho tu kia gham e shikastagi
so apna apna rasta hansi khushi badal dia
wo apni raah chal pari main apni raah chal diya
bhali si ek shakl thi bhali si ek dosti
ab us ki yaad raat din nahin,, magar kabhi kabhi
best for breakup Sad Poetry for love birds and specially after leaving and heart is reedy to forget the movements spent together with using of power full sad music and vocals and HD videos related to poetry it defiantly made your cry if your have feeling for hi or her. At the end use piano cover of Do pal roka song